Wednesday, August 17, 2011
mission compilation of poems
Sunday, August 14, 2011
14th August, 2011
Jahan sirf pyar tha phalta
Salamti ka phool tha khilta
Sakoon se sooraj tha dhalta
Taazgi se her din nikalta
Wohi sunehra Pakistan
Jhandiyan lagatay 14 august ko
mil ker manatay her shikast ko
Mehnat banatay her fursat ko
Aaj ro rahay sub apni kismet ko
Wohi sunehra Pakistan
Chooriyan khanakteen eidou ko
Azaan jagati her umeed ko
Murshid milta her mureed ko
Tamgha nawaztay her shaheed ko
Wohi sunehra Pakistan
Bachay chehaktay galiyoun mein
Rang bikhartay kaliyoun mein
Saqafat chalakti huliyoun mein
Koi ghark na hota rang raliyoun mein
Wohi sunehra Pakistan
Baharoun mein sub gungunatay
Garmiyoun ke barish mein nahatay
Sehnoun mein shaamein guzartay
Tehwaroun mein gharou ko sajatay
Wohi sunehra Pakistan
Jahan thee rishtou ke pyas
hukmaran se thee bhalai ke aas
imaandari jahan sirf thee raas
Sacha deen tha qalb ke paas
Wohi sunehra Pakistan
Kho gia khoon ke selaab mein
Aziatou ke baab mein
Qudrat ke afaat mein
Allah ke azaab mein
By: Faria Bhatti